Khusrawi Achi Lagi Na, Sarwari Achi Lagi
Khusrawi achi lagi na, sarwari achi lagi
Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi
Door they to zindagi be rang thi be-kaif thi
Un ke kuchey main ga’ey to zindagi achi lagi
Main na jaun ga kahin bhi, dar Nabi ka chaur kar
Mujh ko ku’ey Mustafa ki chakari achi lagii
Naaz kar tu aey Halima sarwar-e-kownain par
Gar lagi achii to teri jhownparhi achi lagii
Rakh diye sarkaar ke qadmoun pe sultanon ne sar
Sarwarey kown-o-makaan kii saadgii ach-chii lagii
Door rah kar astaan-e-sarwar-e-kownain se
Zindagi achii lagiina bandagi achii lagii
Mahr-o-mah ki roshani maana ke achi hai magar
Sabz gunbad ki mujhey to roshani achi lagi
Aaj mahfil mein Niyaazi, naat jo maine parhi
Ashaqan-e-Mustafa ko woh barhi achii lagi
No comments:
Post a Comment