Friday, November 11, 2011

Diloun Ke Gulshan Mahek Rahe Hain

Diloun Ke Gulshan Mahek Rahe Hain

Diloun Ke Gulshan Mahek Rahe Hain
Yeh Kaif Kyon Aaj Aa Rahe Hai
Kuch Aisa Mehsoos Ho Raha Hai
Huzoor Tashrif La Rahe Hai

Navaazhisoun Par, Navaazhisei Hai
Inaayatoun Par, Inaayatein Hai
Nabi Ki Na’atein, Suna, Suna Kar
Ham Apni Qismat Jaga Rahe Hai

Kahaan Ka Mansab, Kahaan Ki Daulat
Qasam Khuda Ki, Yeh Hai Haqiqat
Jinhe Bulaaya, Hai Mustafa Ne
Wohi Madiney Ko, Ja Rahe Hai

Main Apne Khayrul Wara Ke Sad’qe
Inki Shaane Ata Ke Sad’qe
Bhara Hai Aibon Se Mera Daaman
Huzoor Phir Bhi Nibaah Rahe Hai

Habibe Daavar, Gharib Parwar
Rasoole Akram, Karam Ke Pekar
Kisi Ko Dar Par Bula Rahe Hai
Kisi Ke Khawboun Mein Aa Rahe Hai

Banega Jaane Ka Phir Bahaana
Kahega Aakar Koi Diwaana
Chalo Niyazi, Tumhe Madiney
Madiney Waale Bula Rahe Hai

No comments:

Post a Comment