Sunday, September 4, 2011

Ya Rab mein gunahgar hoon tauba qabool ho

Ya Rab mein gunahgar hoon tauba qabool ho


Isyaan pay sharm sar houn, tauba qabool ho.

Jaan sozo dil pigar houn, tauba qabool ho

Sartapa inqisar hoon, tauba qabool ho.

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho…

Guzri tumam umar meri lahulad mein

Naiki nahin hai koi amal ki kitab main

Salah amal bhi koi nahin hai hisaab main

Dast e dua buland hai teri janab mein.

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho…

Aisho nishat hi mein guzari hai zindagi

Har zawiye say apni sanwari hai zingadi

Mera khayal yeh tha kay jari hai zindagi

Lekin yeh hall ab hai kay bhari hai zindagi.

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho….

Mein houn gunahgar magar Tu to hai kareem

Main hoon siyah kar magar Tu to hai raheem

Mein houn fana pazeer magar Tu to hai qadeem

Main adna o haqeer sahih Tu to hai azeem.

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho…

Ya Rub Teray karam Teri rehmat ka wasta

Ya rab Teri aata Teri naimat ka wasta

Ya Rub teray jalal o jalalat ka wasta

Ya Rab Rasool e Haq ki risalat ka wasta.

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho.

Tauba qabool ho, meri tauba qabool ho…

No comments:

Post a Comment