Sunday, September 4, 2011

Kya khabar kiya saza mujh ko milti

Kya khabar kiya saza mujh ko milti
Meray Aqa(S.A.W) nay izzat bachali.

Farde isiyan meri mujh se lay kar
Kali Kamli mein Apni(S.A.W) chupali.

Woh (S.A.W) aata par ata karne wale
Aur hum bhi nahin talne wale.

Jaisi deodi hai waise bhikari
Jaisa Data hain waisay sawali.

Mein ghada hoon magar kis kay dar ka
Woh jo Sultan-e-Kono Makan (S.A.W) Hain.

Yeh Ghulami badi mustanad hai
Mere sar par hai taj-e-Bilali.

Mein Madinay say kya agaya hun
Zindagi jaise bujh si gai hai.

Ghar ke andar faza soni soni
Ghar key baher sama khali khali.

Meri Umr-e-Rawan bus thehar jaa
Ab safar ki zuroorat nahin hai.

Unke (S.A.W) qadmoun mein meri jabeen hai
Aur hathoun mein Rozay ki Jali.

Mein faqat naam lewa houn Unka (S.A.W)
Unki(S.A.W) tauseef mein kya karoonga

Mein na Iqbal (Allama Sir Muhammad Iqbal), Qusro (Amir Khusro) na Saadi
Mein na Qudsi na Jami na Hali.

Kya Khaber kya saza mujhko milti
Mere Aqa (S.A.W) ne Izzat bachali
.

No comments:

Post a Comment