Sartaba qadam hai tanay, Sultan e Zaman phool
Lab phool dahan phool zatan, phool badan phool
Tinka bhi hamarey, hilaye nahin hilta
Tum chaho to ho jaye abhi, kohay mehan phool.
Sadqay mein teray baag to, kiya laye hain maan phool
Eis ghuncha e dil ko bhi to, imaanhoon kay ban phool
Wallah Jo Mil Jaaye Mere Gul Ka Paseena
Maange Na Kabhi Itar Na, Phir Chahe Dulhan Phool.
Dil apna bhi shadai hai, us naakhunay-pa ka
Itna bhi maheno-pay na, Ae charkhay kohan phool.
Kiya baat Raza us chamanistan e karam ki,
Zahra hai kali jis mein Hussain aur Hassan phool.
Sarrtaba kadam hai tanay, sultan e Zaman phool
Lab phool dahan phool zatan, phool badan phool
No comments:
Post a Comment