Sunday, September 4, 2011

Aaya na hoga iss tarha, husn o shabab reet per

Aaya na hoga iss tarha, husn o shabab reet per
Gulshanay Fatima kay thay, saray gulaab reat per.

Janay Batool kay siwa, koi nahin khila saka
Qatra e aab kay bagheir, itnay ghulaab reet per.

Jitnay sawal ishq nay, aal e Rasool say kiye
Eik kay baad aik diye, sarey jawab reit per.

Pyaasa Hussain ko kahoon, itna to bay adab nahin
Lam say labe Hussain ko, tarsa hai aab reet par.

Ishq main kiya bachaiye, ishq mein kiya lutaiye
Ale Nabi nay likh diya. sara nissab reat par.

Ale Nabi ka kaam tha, ale Nabi hi ker gaye
Koi na likh saka adeeb aisi kitaab reit par.

Gulshan e Fatima kay they, saray gulab reat par.

No comments:

Post a Comment