Monday, August 1, 2011

Lab Pe Naat-e-Nabi(Sal Allaho Alehi Wasallam) Ka Nagma Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai.

Lab Pe Naat-e-Nabi(Sal Allaho Alehi Wasallam) Ka Nagma Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai.


Lab Par Naat e Nabi (SAW) Ka Naghma, Kal Bhi Tah Aur Aaj Bhi Hai.
Meray Nabi (Sal Allaho Alehi Wasallam) Sai Mera Rishta Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai.
Meray Nabi (Sal Allaho Alehi Wasallam) Sai Mera Rishta Kal Bhi Tah Aur Aaj Bhi Hai.

Aur Kisi Janib Kyun jayein, Aur Kisi Ko Kyun Dekhain,
Aur Kisi Janib Kyu Jaa Ain Aur Kisi Ko Kyun Dekhain,
Apna Sub Kuch Ghumbad E Khizra, Kal Bhi Tah Aur Aaj Bhi Hai,
Apna Sub Kuch Ghumbad E Khizra Kal Bhi Tah Aur Aaj Bhi Hai.

Meray Nabi (Sal Allaho Alehi Wasallam) Sai Mera Rishta Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai.

Pasth Woh Kaisay Ho Sakta Hai, Jis Ko Haq Nai Buland Kia,
Pasth Wo Kaisai Ho Sakta Hai, Jiss Ko Haq Nay Buland Kia
Dono Jahaan Main Unka Charcha, Kal Bhi Tah Aur Aaj Bhi Hai
Dono Jahan Mai Unka Charcha Kal Bhi Tah Aur Aaj Bhi Hai.

Fikr Nahin Hai Hum Ko Kuch Bhi Dukh Ki Dhup Kari To Kya
Fikr Nahi Hai Hum Ko Kuch Bhi Dukh Ki Dhup Kari To Kya
Hum Per Unkay Fazal Ka Saya, Kal Bhi Tah Aur Aaj Bhi Hai
Hum Per Un-kay Fazal Ka Sayaa Kal Bhi Tah Aur Aaj Bhi Hai.

Batlado Guhstakha e Nabi (Sal Allaho Alehi Wasallam) Ko Ghairat Muslim Zinda Hai
Batlado Guhsta Khai Nabi (Sal Allaho Alehi Wasallam) Ko Ghairat E Muslim Zinda Hai
Un Per Mar Mit Nay Ka Jazba Kal Bhi Tah Aur Aaj Bhi Hai
Deen Per Mar Mit Nay Ka Jazba Kal Bhi Tah Aur Aaj Bhi Hai.

Sab Ho Aaye unkay dar say, Ja Na Saka To Eik Sabhi
Sab Ho Aaye unkay dar say, Ja Na Saka To Eik Sabhi
Yeh Ke Eik Tasweer E Tamana, Kal Bhi Tah Aur Aaj Bhi Hai
Yeh Ke Eik Tasweer E Tamana, Kal Bhi Tah Aur Aaj Bhi Hai.

Meray Nabi (Sal Allaho Alehi Wasallam) Sai Mera Rishta Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai.

Lab Par Naat e Pak Ka Nagma, Kal Bhi Tah Aur Aaj Bhi Hai,
Meray Nabi (Sal Allaho Alehi Wasallam) Sai Mera Rishta, Kal Bhi Tah Aur Aaj Bhi Hai.

No comments:

Post a Comment