Tuesday, August 16, 2011

Jashn-e-Amad-e-Rasool

Jashn-e-Amad-e-Rasool


Jashan-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah
Noor ki tann gaeen chaadrain chaarsoon
Hoor-o-gulmaan ki poori hoii arzoo
Mustafa mujtaba shah-e-kono mukaam
Rub ki sarkaar jub hogaey roh baroh
Phir khuda ne khaha mere mahboob tum
Ho rasuloon ke rasool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah
Chehra-e-Mustafa jub dikhaya gaya
Jhook gaye taarey aur chaand sharmaa gaya
Amena dekh kar muskuraney lageen
Hawwa Mariyam bhi khoshiyaan banaaney lageen
Amena bibi sub se kehney lageen
Duaa hogaii kabool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah
Farsh se arsh tak noor ka hai samaa
Laaey tashreef doniyan main khair-ul-waraa
Aasi ummat ki kismal sawarney lagii
Barishain rehmatoon ki barasney lageen
Ay Haleema teri looriyoon keyliye
Rub ke aagaey rasool Allahi Allah
Allahi Allah Bolo Allahi Allah
Rub ke aagaey rasool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah
Boodd girey tooth kar khaaq main attak gaaey
Kufr ke phele baadal sabhi chatt gaey
Jub Rukh-e-Mustafa ki pari roshni
Ye zameenon zamaan khood main butt gaaey
Hoor-o-gilman malaik sabhi aaj hain
Zikr Ahmed main mashgool Allahi Allah
Bibi Amena ke Phool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Shaadiyaaney khoshi ke bajaaey gaaey
Shaadi ke naghmey sab ko sonaaney gaaey
Har taraf shoor Sall-e-Allah hogaya
Aaj paida Habib-e-Khuda hogaya
Phir tu Jibreel ne bhi ye Ayhlaan kiyaa
Ye Khudaa ke hain Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah
Allahi Allah bolo Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Chehra Quraan ki tafseer hai
Noor hi noor hai Haq ki tasveer hai
Mussaf-e-Mustafa ke oojaalon ke rung
Rehmatoon se sajii ek tasveer hai
Jaane kaunay ju hai Shafee-ul-waraa
Aysey piyaare hain rasool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah

Ashiq-E-Rasool.

No comments:

Post a Comment