Friday, November 11, 2011

Khairul Bashar Par Lakho Salam

 

Khairul Bashar Par Lakho Salam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Jinno Malaek Tere Ghulam
Sab se siwa hai Tera Muqaam
Yaseen O Taha Tere hi naam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Ala se Ala Tera Muqaam
Sab Ambiya ka Tu hai IMAM
Kul Aulia hai Tere Ghulam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Arshe baree tak charcha Tera
Shams o Qamar hai Sadqa Tera
Yeh mahe kamil husne tamam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Sab ko mayas'sar ho yeh muqaam
Pahoonche Madine bankar Ghulam
Padhte Darood aur Padhte Salam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Itna Karam to Farmaiye
Rauze pe sab ko bulwaiye
Hazir yahaan hai jitne ghulam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Teri Sana hai mera naseeb
Qurbaan Tujh par jaane Adeeb
Tujh par tassaduq Alam tamam

Khairul Bashar par Lakho Salam
Lakho Darood aur Lakho Salam

Kabhee Laichalo Mujhe Karbala

Kabhee Laichalo Mujhe Karbala

Kabhee laichalo mujhe karbala
Kia us zameen ka tha hosala

Kia us pai hoga falak ghira
Jahaan par Hussain ka tha Sar Kata

Tha tabassum un kai zair-e-Lab
Jab kar dya Kumbaa fidaa

Tha ajab khilona vo teer bhee
Jo Nanai seenai main tha lagaa

Terai Sajdai ko karoon sajdai main
Usai pyaar kitnaan karai Khudaa

Teri iss ada pai naan reh saka
Tujhai paas apnain bulaa lyaa

Tera pyaar ban gayee us ki yaad
Vo jiss kai agai tha tu jhukaa

Choomoon main farsh-e-khaas ko
Jis par vo paak Lahoo bahaa

Kabhee laichalo mujhe karbala
Kia us zameen ka tha hosala

Kaabe Ke Badrudduja

 

Kaabe Ke Badrudduja

Kaabe ke Badrudduja tumpe karoron Durood
Taiba ke Shamsud Duha tumpe karoron Durood

Shaafa’e Roze Jazaa tumpe karoron Durood
Daafa’e jumla balaa tumpe karoron Durood

Dil karo thanda mera woh kaffe paa chaand sa
Seene pe rakhdo zaraa tumpe karoron Durood

Aur koyee Ghayb kya tum se Nihaan ho bhalaa
Jab na Khudaa hi Chupaa tumpe karoron Durood

Wo Shabbe Me’raj raaj woh safe Mehshar ka Taaj
Koyee bhi aisa huwa tumpse karoron Durood

Kar ke tumhare Gunaah mange tumhee se Panaah
Tum kaho Daaman me aa tumpe karoron Durood

Tum ho Haafiz-o-Mughees kya ha woh Dushman Khabees
Tum ho to phir khauf kya tumpe karoron Durood

Ek taraf A’daa’e Deen ek taraf he Haasideen
Banda he tanha Shaha tumpe karoron Durood

Hum ne khataa me na ki tum ne ataa me ki
Koyi kami sarwaraa tumpe karoron Durood

Jannat Mein Lay Kar Jaey Ghi Chahat Rasool Ki

 

Jannat Mein Lay Kar Jaey Ghi Chahat Rasool Ki

Jannat Mein lay kar jaey ghi Chahat Rasool ki

Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki

Chalta hoon mein be Qafelay walo ruko zara
Milnay do bus mujhay be Ijazat Rasool ki

Phochay Jo Din-o-Iman Nakerain Qabr mein
Us waqt meray lab pay ho Midhat Rasool ki

Tarpa kay un kay Qadmo mein mujh ko Gira day Shok
Jis waqt ho lahad mein Ziyarat Rasool ki

Sarkar nay bula kay Madina dikha dia
Ho ghi mujhay naseeb Safa"at Rasool ki

Ya Rab dikha day Aaj ki Shab Jalwaey Habib
Ik bar to Aata ho Ziyarat Rasool ki

Damen mein un kay lay lo pannah Aaj munkiro
Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool ki

To hai Ghulam Un ka Ubaid-e-Raza teray
Mahshar mein ho ghi saath Himayat Rasool ki

Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki
Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki

Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nehi Karte

 

Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nehi Karte

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte,
jo yaad e Mustafa(S.A.W.W) se dil ko garmaya nehi karte

ZabaN parr shikwae ranj o alam laya nehi karte,
Nabi(S.A.W.W) ke naam lewa gham se gabraya nehi karte

yeh he darbaar Aqa(S.A.W.W) ka yahaaN milta he bemange,
are nadaN yahaan daman ko phelya nehi karte

Yeh darbaar e Mohammad(S.A.W.W) he Yahaan apno ka kya kehna,
Yahaan se hath khali gher bhi jaya nehi karte

Are o na samaj qurbaan hoja onke roze perr,
yeh lamhe zindagi me baar baar aya nehi karte

Mohammad Mustafa(S.A.W.W) ki shaan e rehmet to zarah dekho,
sittam sehte to hain lekin sittam daya nehi karte

Mohammad Mustafa(S.A.W.W) ke baagh keh sabh phool aise hain,
Yeh bepaani ke tarr rehte hain murjaya nehi karte

Nadamat sath le karr hashr me ae asio jana,
sonna he sharm walo ko woh sharmaya nehi karte

Aggar ho jazba e sadiq to aksar humne dekha he,
woh khud tashreef le ate hain tarpaya nehi karte

Jo inke damaan e rehmet se wabasta hain ae Hamid,
Kissi ke samne woh hath phelaya nehi karte

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte,
jo yaad e Mustafa(S.A.W.W) se dil ko garmaya nehi karte

Haajiyo Aawo Shahenshah Ka Roza Dekho

Haajiyo Aawo Shahenshah Ka Roza Dekho

Haajiyo aawo Shahenshah ka Roza dekho
Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho

Rukhne Shaami se miti wah’shate shaame gurbat
Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho

Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujhaa-ee pyaase
Aawo joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho

Zayre Mizaab mile khoob Karamke cheente
Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekho

Khoob aankho se lagaaya he Gilaafe Kaaba
Kasre Mehboob ke parde ka bhi jalwah dekho

Zeenate Kaaba me tha laakh arooso ka banaw
Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho

Dho chuka zulmate dil bosaa-e Sunge Aswad
Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho

Jum’ma-e Makkah tha Eid, Ahle Ibaadat keliye
Mujrimo! Aawo yaha Eide Do Shamba dekho

Raqse Bismilki bahaare to Minaa me dekhi
Dil khonaa be Fishaa ka bhi Tarapna dekho

Gowr se sun to Raza Kaaba se aati he sadaa
Meri aankho se mere Pyaare ka Rozaa dekho

Falak ke naazaro

Falak ke naazaro

Falak ke naazaro, zameen ki bahaaro
Sub Eidein manao Huzoor agaye hain

Uttho bay saharo chalo gham ke maaro
khabar ye sunao Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Anokha niraala Woh zee shaan ayaa
Woh saray Rasoolaun ka Sultan ayaa
Aray kaj kula'ho aray baadshaho
Nigahein jhukao Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Huwaa char su Rahmataun ka ba'sayra
Ujaala ujaala' sawera, sawera
Halima (R.A) ko pohnchi khabar Aaminah (R.A) ki
Mere ghar main aao, Huzoor agaye hain

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Hawaun mein jazbaat hain Marhaba ke
Fazaun mein naghmaat Salle'Alla ke
Daroodaun ke gajrey, Salamaun ke tohfay
Ghulamo sajaao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Sama hai sana e Habeeb e Khuda ka
Ye Meelad hai Sarwaray Ambiya ka
Nabi ke gadao sub ek doosre ko
Khabar ye sunao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Kahaan mai Zahuri kahaan Unki batein
Karam hi karam hain ye din aur ratein
Jahaan par bhi jaao dilaun ko jagao
Yahi kehte jaao, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain